Monday 6 August 2012

Pannalal chaudhari bbs college of engineering technology

"HAPPY FRIENDSHIP DAY........TO ALL OF YOU"
ye panna ki taraf se apne sabhi BBS ke dosto ke liye........... jinko panna yaad hai unke liye bhi.......aur jo panna ko bhool gaye unke liye bhi......

na jaane tum sab kaha chale gaye dosto chorkar mujhko akela,
ab to tumhare bina mujhe apna ye shahar bhi anjaan lagta hai.
aur yu to ab bhi mere har taraf laga hai insaano se bhara mela,
par tum logo ke bina mujhe soona-soona sara jahaan lagta hai.

tumhari yaad mein ab meri aankho se is kadar hoti hai barsaat,
ki ab to logo ko meri barasti hui aankhe bhi aasmaan lagta hai.
aur yu to tumhare bina mai muskura saku ab bhi hai aise halaat,
par tumhare bina muskurana bhi apni dosti ka apmaan lagta hai.

No comments:

Post a Comment